YouTube se paise kamana aasan hai, lekin swal ye hai ki jyada paisa short video me hai ya long video me? Agar aap bhi confuse hai ki short video banaye ya long video to ye article aapke liye hi hai
YouTube पर क्या Viral होता है? Shorts vs Longs Full Deep Guide
Is article me ham step by step samjhenge ki kisme jyada paisa hai
kisme reach jyada hai aur long term ke liye kon sa format best hai
यूट्यूब से पैसे कैसे कमाएं Series ke Part 1 me hamne samjha thaa ki Youtube Channel kaise banate hai aur channel ki besicSEO bhi kiya thaa
Agar aapne Part 1 ko miss kar diya to yaha par click karke padho 👇
YouTube से पैसे कैसे कमाएँ – How To Earn Money From YouTube
Part-2 me hum deep me jaayenge aur ek complete blueprint banayenge,
Jisse aap 2025 me YouTube par fast growth karoge.
Shorts vs Long Video: Kya Banaye?
Shorts video aur Long video dono jaruri hai, lekin dono alg tareeke se karte hai,
Shorts aur long video ka maksad alag hai, pahle un chije ko dhayan do!
YouTube Shorts (Fast Growth)
मोबाइल से वीडियो बनाकर पैसे कैसे कमाए
Agar aap YouTube par shorts video banate hai to aapka channel jaldi grow karega. Isme koi shak nahi hai sath hi aapko kaam bhi bahut kam karna padega, jaise- editing, thumbnail aur script ye sab kam effort me ho jayega, lekin iska nuksan bhi hai.
Short video banane ke nuksan ye hai ki koi bhi subscribe kar dega lekin vo aapka loyal subscriber hai ya nahi iska koi andaja nahi lag sakta hai kyuki shorts video ko views jyadatar shorts feed se aati hai na ki search se, bas yahi karan hai ki shorts feed me koi bhi subscribe kar dega lekin aapka latest video dekhega ya nahi uska koi garntee nahi hai
Short video banane ke fayede bhi bahut hai hai, jaise- kam time me jyada subscribers, daily video upload kar sakte ho, face dikhane ki jarurat bhi nahi hai agar editing hard hai tab.
YouTube पर क्या Viral होता है? Viral Content Ka Formula – Shorts vs Longs Full Deep Guide!
Short video ko purpose– aapka channel jaldi grow karva dega aur jitne bhi apke social media hai un par bhi traffic aa jayega, lekin jab aap long video post karoge tab vo dekhenge ya nahi iska koi garntee nahi hai, agar shorts video ke related long video bhi post karoge to ummid hai ki vo dekh bhi le, lekin agar pura ka pura naya concept ka long video post karoge tab koi garntee nahi hai.
Long Videos (Stable Earning)
Agar aap long video banate hai tab aapko shuruaat me 0 view aa sakta hai,
Lekin agar lagtar video post karte rahte ho tab views aane lagega.
Long video se kamayi bahut jyada hoti hai
Example:
Short video 1M views = ₹2000
Long video 1M views = ₹20000+
Eaning ki baat ho to sidhe 10x ka fark hai lekin shorts ke paas rech ka advantag hai jisse shorts par jyada views kam time aur kam mehanat me aa jaata hai, agar aa[ kam mehanat karke jyada reach pana chahte hai tab aapke liye short video banana best hai, agar jyada time aur mehanat laga kar average reach aur jyada kamayi karna chahate hai, tab aapke liye long video banana best rahega.
Agar aap long video post karte ho, to aapka ek brand build hota hai, audience me trust badhata hai, isse fayda ye hoga ki trusted brand aapse contect karegi paid promotions ke liye.
YouTube पर क्या Viral होता है? Shorts vs Longs Full Deep Guide
Without Investment Earning — 10 Easy Tricks Students Can Do Daily (2025 Guide)

🎯YouTube Success Formula (BEST Combination)
Agar aap shorts video aur long video dono ek hi channel par post karna chahte hai to ek strategy banao jaise 60% Shorts Video post karo growth ke liye aur 40% Long Video post karo jyada kamane ke liye, isse fayda ye hoga ki channel bhi grow hoga aur kamayi bhi.
Viral Shorts Kaise Banaye
Viral short video banane ka 2 sabse aasan tareeka hai,
Agar is 2 tareeke se kaam karoge to aapka short video viral hone ka chance 100% me 99.99% hai
1- HOOK → INTRO
Shuru ke 3 second me esa kuchh bolo jise sun ke log ruk jaye, aur sochne par majbur ho jaye ke ye kya bol diya ab aage kya hoga?
Example:
- “Agar aap daily ₹1200 kamaana chahte ho to ye suno…”
- “Ye galti mat karna warna channel kabhi grow nahi hoga.”
- “meri gf ke bf ne nayi gf bana li par ye bhool gaya ki”
Agar ese hook banaoge to koi bhi ruk jayega, yaad rakho hook tagada hoga tabhi viral hoga
2- RETENTION → Audience ko end tak rokna
Audience Retention badhane ke 5 tarike hai jisse audience bina boar huye pura short video dekh legi aur aakhri me subscribe bhi kar sakti hai.
- Text animation use karo – log dekhne ke sath padhate bhi hai
- Fast cuts lagao – faaltu ke footage delete karo
- Music + captions – isse log boar nahi hote
- Curiosity loop – esa baat batao jo aadhi adhuri ho taki log agle video dekhne ke liye aaye
- End me payoff – jiske liye video banaye ho vo bata do
- Call to action – Subscribe karo agar ese aur video chahiye
YouTube पर क्या Viral होता है? Shorts vs Longs Full Deep Guide

20 READY SHORTS IDEAS (Copy-Paste)
Earning Niche
- “Top 3 apps to earn daily ₹200”
- “Beginner ka earning trick”
- “Online earning ka biggest myth”
- “1 minute me ₹50 kaise kamaye?”
- “Aaj ka new earning app”
Motivation
- “Stop scrolling, listen…”
- “You deserve better, bro.”
- “Success hone ka sabse bada secret”
Education
- “taaz mahal top 10 fact”
- “1 minute me questionkaise yaad kare”
AI Tools
- “AI se ₹1500 daily kaise kamaye?”
- “3 AI tools jo sab use karte hai”
YouTube Tips
- “Viral hook formula 2025”
- “1 common mistake jo sabhi YouTubers karte hai”
Faceless Content
- “3 faceless niche ideas”
- “AI se Voiceover kaise karaye”
General Viral
- “Reels kaise viral hoti hai…”
- “Aaj ka top trending news”
- “2 minute ka earning experiment”
- “What I learned after 30 days of YouTube”
Long Video Content Plan
Long video me bhi bahut se topic hai jinhe aap cover kar sakte hai, jaise-
Tutorial – 5–10 minutes
- “YouTube se paise kaise kamaye – full guide”
- “XYZ App se earning proof + tutorial”
- How to create a YouTube channel”
Case Study
- “Maine 1 month me 10,000 views kaise laaye?”
- “Mr beast ne kaise t-series ko pichha kiya”
- “Maine 18 saal ke umar me 18L kaise kamaye”
- “Train 24 ghante me kitne ghate lagtar chal sakti hai + side effect”
30 Days YouTube Content Calendar
| Day | Video Type | Topic | Goal |
|---|---|---|---|
| 1 | Short | Hook video | momentum |
| 2 | Long | Tutorial | authority |
| 3 | Short | Top 3 tips | views |
| 4 | Short | trending | reach |
| 5 | Long | niche topic | watch time |
| 6–10 | Shorts daily | viral hooks | subscribers |
| 11 | Long | review | affiliate |
| 12–18 | Shorts | trend mix | growth |
| 19 | Long | case study | trust |
| 20–30 | Shorts + Long | mix | consistency |

Part-3 me hum Viral Script & Hook Formula start karenge — jo tumhare videos ko explode kar dega.
Bol do “Part 3 bana” — main turant likh deta hoon।
Read Also
YouTube से पैसे कमाने का तरीका
YouTube से पैसे कैसे कमाएँ – How To Earn Money From YouTube
Table of Contents
Short ya Long — beginners ke liye kaun sa best hai?
beginners ke liye Short video best hai.
Daily kitne videos upload kare?
1 Long + 4–5 Shorts weekly = perfect.
Kya faceless videos chalti hai?
Bilkul, 2025 me faceless channels bohot successful hai.
Shorts se earning hoti hai kya?
Haa – Shorts se earning hoti hai.
✨ More From Baliearn.com

Facebook Se Paisa Kamane Ka 10 Real Method
वो समय गया जब लोग Facebook कोमज़े के लिए इस्तेमाल करते थे, अब सबके सब Facebook से पैसे...

How To Earn Money From Freelancing in 2026 – Best Freelancing Skills to Earn Money
Freelancing Guide for Beginners 2026 Earn Money Online Without Investment Freelancing is the most powerful way to earn...

How To Earn Money from ClickBank? Full Guide in Hindi
Online paise kamana bachcho ka khel ho gaya hai.Is internet ke duniya me jyadatar log ghar baithe apne...

2026 Content Monetisation Invite-Only Full Guide
Facebook Content Monetization Tool 2025 ka naya beta program hai jisme sabhi formats (Reels, long videos, photos, text...
💬 Join our official channels for instant earning updates & finance news



